fashion ke is daur me tattoo ka kafi chalan hai, or tattoo trend ke chalte Hygiene ko najarandaj nhi kiya ja sakta. isliye aaj ham aap sabhi ko hygiene ki kuchh tips de rahe hain, usko dhyan me rakhkar hi tattoo banwaye nhi to un-hygienic tattoo ke kafi bure parinam ho sakte hain, jaise infection, aids ya kisi bhi tarah ki skin problem jo aapko kaafi musibat me dal sakti hai, or ek sasta tattoo aapko kaafi mehnga pad sakta hai, to dosto tattoo banwane se pehle hygiene ka poora dhyan rakhe jisse ki aapko kisi bhi tarah ki pareshani ka samna na karna pade. to dosto aage aapko batate hain ki aap kin kin baton ka dhyan rakhe jisse aapko tattoo banwane ke baad kisi bhi tarah ki pareshani ka samna na karna pade.
1. dhyan rakhe ki tattoo artist aapke samne hi needle ko change kare.
2. tattoo machine ko poori tareeke se saf kare jisse ki kisi bhi tarah ka bacteria aapko harm na kar sake.
3. tattoo tip bhi hamesha new use honi chahiye.
4. tattoo surface bhi clean hona chahiye.
5. hair remover Razor bhi hamesha new use hona chahiye.
6. New Ink cups ka istemal hona chahiye.
7. har equipments kisi anti bacterial se cover hona chahiye.
8. har subject jo use hone wala hai wo clean wrap se cover hona chahiye jisse ki wo bacteria free rahe.
9. always new inks ka hi use hona chahiye is baat ka poora dhyan rakhen.
10. har baar new gloves ka istemal hona chahiye.
11. dhyan rakhen ki artist sanitizeter ka istemal jarur kare.
To Dosto ye kuchh tips hai jinse aap kisi bhi tarah ki hone wali desease or skin problem se bach sakte hain or tattoo ka maza le sakte hain. dhyan rakhe ki tattoo ka shauk sasta bilkul nhi hai, agar koi sasta tattoo bana raha hai to ye jarur soche ki wo sasta tattoo kyu bana raha hai, agar aap is baat ka dhyan nhi rakhenge to ho sakta hai aapki poori jindagi pachhtana pade.
DHANYAWAD
DEV TATTOOS
NEW DELHI INDIA