Tattoo Pain

news

Tattoo Pain

TATTOO MAKING ME PAIN KYU HOTA HAI ?

kuchh untrained tattoo artist jinka hath sadhaa hua nhi hota unke hath se pain jyada hota hai, or tattoo me se blud bhi kaafi maatraa me nikal jaata hai. aise logo ka tattoo skin se bahar nikal jaata hai jo dekhne me kafi ganda lagta hai. kuchh naye log tattoo needle ko skin me kaafi andar tak dalkar tattoo banate hai jisse client ko kaafi dard hota hai. neeche kuchh tips de rahe hai jinko follow karke aap tattoo me hone wale dard se bach sakte hai.


1. hamesha experienced tattoo artist ka hi chunav kare, kyuki experienced tattoo artist ka hath kafi soft hota hai or kaafi stable bhi hota hai, inke tattoo banane me bearable pain hota hai.


2. experienced tattoo artist needle ko skin me jyada andar tak nhi dalte jisse kaafi kam pain me tattoo ban jaata hai.


3. kuchh tattoo artist numb cream ka bhi istemaal karte hain, par usme bhi artist ka hath soft hona chahiye jo ki ek anubhavi tattoo artist ka hi ho sakta hai.


4. dhyan rakhe sasta kabhi achchha nhi hota, achchha kabhi sasta nhi hota. tattoo ka shauk koi sasta shauk nhi hai, isme drawing, skin, hygiene, branded equipments use hota hai, har body ke liye saare equipments new and fresh istemaal hote hain, isliye tattoo making sasta nhi hota.


5. dhyan rakhe agar koi person aapka tattoo sasta, kam paise me bana raha hai to wo kyu bana raha hai, kahi wo is line me naya to nhi hai ?  kahi wo aapki body par practice to nhi kar raha ?  


6. kahi wo person saste equipments ka estemaal to nhi kar raha ?  wo person mele ya local bazar me neeche jameen par baithkar bina hygiene ke tattoo to nhi bana raha.


in sabhi bato ka dhyan rakhkar apne sath hone wale nuksan se bach sakte hai. to dosto vyast rahe mast rahe or apna apno ka dhyan rakhen.


THANKS TO ALL

DEV TATTOOS